Wo Jo Kehta Tha Kuch Nahi Hota
Ab Wo Rota Hai Chup Nahi Hota...
Silwatain Aur Tarha Ki Hain Tere Chehray Par
Dukh Yaqeenan Tere Duniya Se Niralay Hain...
Wo Jo Kehta Tha Hazir Ghulam Hun Tera
Usi Ne Maati Paleet Kar Dali...
Sar Jhukaye Hue Khamosh Hun Faqeer Ki Tarha
Zindagi Baich Rahi Hai Sar-E-Bazaar Mujhe
Kitni Bhi Ronaq Saja Lo Chehray Par
Hijr Aankhon Ko Chorta Hi Nahi...
Abhi Wisaal K Zakhmon Se Khoon Rasta Hai
Abhi Khafa Hai Mohabbat Ka Dewta Mujh Se.
Hum Bhi Kya Log Hain Nafrat K Shajar Bo Bo Kar
Aasmano Se Mohabbat Ki Jhari Mangte Hain...
Tum Ne Khud Ko Jo Pardy Me Chupaye Rakha Hai
Na Jane Kitno Ko Uljhan Me Dale Rakha Hai...
Ab Meri Raah Main Haayal Nahi Hoti Yaadein
Ab Tere Sheher Se Guzrun To Guzar Jati Hun...
Tumhare Samny Tum Se Nazar Chura Kar Hum
Zara Sa Door Se Palty To Gumaan Kesa
Tumhe Yaqeen To Thehra Ka Ye Mohabbat Hai
Mere Khayal Main Mushkil Hai Imtahan Aisa...
Ab Jo Khoon Daman Pe Gira Hai To Shikayat Kesi
Main Na Kehta Tha, Mujhe Door Se Maro Pathar.
Halaat K Sehmay Hue Logon Ko Batla Do
Halaat Badal Jate Hain Thehra Nahi Karte.
Bohat Ajeeb Hain Ye Bandishain Mohabbat Ki
Na Us Ne Qaid Me Rakha Na Hum Faraar Hue.
Ejazat Ho To Kuch Arz Karun
Khail Chuky Ho To Dil Wapis Kar Do.
Kuch To Hai Bat Jo Ati Hai Qaza Ruk Ruk K
Zindagi Qarz Hai Jo Qiston Me Adaa Hoti Hai..
Na Shikwa Tha Lubon Par Na Honton Se Lahu Tapka
Bus Ek Lamha Judai Ka Atak Kar Reh Gaya Dil Me.
Hope you like my this little effort and I am sure you will be sharing this post with your besties on social media. If you wish to change anything in this post then you suggest me in the comments section below. Thanks
Comments
Post a Comment